Tuesday, October 11, 2011

kon kasoorwar

Dehradun ki fiza mai kuch nasha sa hai jo yaha aata hai yaha ka murid hokar rah jata hai . isi wazah se yaha par aneko anek school college khulte gye yeh ek education hub ban kar ubhar aaya uk k map par ..........aas pass k sab shahro k sath sath door daraz se bhi bachche aankho mai naye naye sapne lie ujjawwal bhavishy ki kamna lie dehra doon aane lage hostal ki tadat cooleeges mai kam hai bahar room lekar rahna unki azadi njoy karne ka manpasand tariqa ..........gulabi thandank ho sath mai ho bariya si bike ............ parants ka diya bahut sara paisa ............aise mac-d,pizza-hut,or Dominoz n ccd unka fav destination .............. bear ki chuski ......... coffee ka ghooth unmai ek josh bhar deta hai . kulache marne lagta hai unke bheetar ka bachcha ................k ab mai bara ho gya hu ........... nhi hu ab mammma aapka chotu sa betu ...........papa mujhe urne do is naye aasman mai...............maa roz diya jalati hai k hey ishwer .mera bachche ka khyal rakhna ..........mai hu na sab kasht bardasht karne ka bas uska khyal rakhna .........telephone ki ghanti bazti hai .......... mumma sare paise khatam ho gye jaldi se mere account mai money transfer kara do na ............ mumma dad ko bina bataye bete ko paise bhejti hai kya kare mahngai bahut barh gyi hai ......mera bachcha ............sab uska hi to hai ........................beta khush ...........chalo aaj maa ne paise transfer kar diye aaj Dominoz mai party meri taraf se .......... beer bhi .................sab bachche pizza party ki khushi celebrate karke dehradun ki sarko par hawa se bate karne ko utalawe ho uuthe .sab ham umar ek doosre ko chahne wale .........Har ek frd jaruri hota hai ..........ka geet gate hue MAZRA ki taraf barh rahe they ............Negi sweet shop k pas na jane kya hua ..............galti kisi ki bhi nhi thi kisi ne jan boojh kar aisa kuch nhi kiya fir kyu ......................... kyu unke dosst ....................uffff mahant indresh hospital tak gariya dori usko god mai lie hue .................guard k gate kholne tak ka wait nhi hua ......................hatho mai dost ko lie sab ander aa gye ..........Emergencyyyyyyyyyyyyy ..............pls pls .....mere dost ko dekho na jaldi kya hua usko ............. dekh dekh mai b hu yaha yeh bhi hai tu aankhe to kholllllll .......................... . kuch bhi nhi tha har ek dost jaruri hota hai kahne wala RAM NAGAR ka bachcha ........... urh gya sach much hatho se ........................ . . . abhi abhi INdresh hospital se lout kar aayi hu is aankho dekhi ghatna ki gawah .......... kaise bhool jao un dosto ki cheekhe jo har ek frd ko jaruri manti hu ...............kis muh se kare woh uski mamma ko call k ab se diya na jalana iske nam ka ............. kitan dard hota hai kisi apne ko khone ka .................... police ne dosto ko rone bhi nhi diya le gyi apne sath sirf 19-20 sal ki umar k Graphic era k bachche ........... unki laparwahi man rahi hai . .............kon kasoor war hai is sabka .............................................yeh bachche ? jo biking kar rahe they? yeh sarkar jisne poore dehradun ki sarke udher kar rakh di hai k paidal chalne wala bhi safe nhi hai ..........ya parents jo bhavishy k sunhare sapne k lie apne bachcho ko door apni annkho se door bhej dete hai n yeh jan bhi nhi pate k bachche waha kya kar rahe hai ...........ya colleges jo pryapt martra mai hostal nhi banati k bachche decipline mai rahe waha ........................yeh maine aaj dekha par yeh har roz ki har shahar ki kahani hai ......................aakhir kab tak ek maa khoon k aansoo royegi ........................KASOOR KISKA ?????????????????????????? NEELIMA SHARMA

7 comments:

Rahul said...

मुझे लगता है की वहां बहुत से शैक्षिक संस्थान होने के कारण हैं: (१) पर्यावरण (२) बड़े शहरों के शोर और प्रदूषण से मुक्त होना.

दुर्घटना के लिए कौन जिम्मेदार होता है - इसका उत्तर देना हमेशा मुश्किल होता है...

Sumit said...

meri dost ki taraf se ek msg :
माफ़ी चाहूंगी आप के ब्लॉग मे आप की रचनाओ के लिए नहीं अपने लिए सहयोग के लिए आई हूँ | मैं जागरण जगंशन मे लिखती हूँ | वहाँ से किसी ने मेरी रचना चुरा के अपने ब्लॉग मे पोस्ट किया है और वहाँ आप का कमेन्ट भी पढ़ा |मैंने उन महाशय के ब्लॉग मे कमेन्ट तो किया है मगर वो जब चोरी कर सकते है तो कमेन्ट को भी डिलीट कर सकते है |मेरा मकसद सिर्फ उस चोर के चेहरे से नकाब उठाने का है | आप से सहयोग की उम्मीद है | लिंक दे रही हूँ अपना भी और उन चोर महाशय का भी
http://div81.jagranjunction.com/author/div81/page/4/


http://kuchtumkahokuchmekahu.blogspot.in/2011/03/blog-post_557.html

virendra sharma said...

Good job .

Naveen Mani Tripathi said...

jimmedar abhibhavak hi hai ...bachche to bachche hote hain nilima ji

Santosh Kumar said...

Nice post. Use unicode format or Google transliteration to type in Hindi. It would add wings to your post.

Satish Saxena said...

गूगल ट्रांसलिटरेशन के प्रयोग से रोमन हिंदी में बदल सकता है ...
शुभकामनायें आपको !

PS: pl remove word verification immediately ..

नीलिमा शर्मा Neelima Sharma said...

shukriya frds